Naza Ki SaKHti BaDhi Un Ko Pasheman Dekh Kar

naza ki saKHti baDhi un ko pasheman dekh kar

maut mushkil ho gai jine ka saman dekh kar

wo kabhi jab iltifat-e-naz se lete hain kaam

kanp jata hun main apne dil ke arman dekh kar

karte hain arbab-e-dil andaza-e-josh-e-bahaar

mera daman dekh kar mera gareban dekh kar

wo na agla baghban hai ab na agle ham-safir

yaad karta hun qafas ko main gulistan dekh kar

allah allah mujh sa aasi darKHur-e-rahmat hua

rashk-e-zahid to bhi hai ye qadr-e-isyan dekh kar

ai but-e-kafir maaz-allah ye tera shabab

koi kafir hi rahega ab musalman dekh kar

in buton ne mujh ko be-KHud kis qadar dhoke diye

sidha-sada jaan kar mard-e-musalman dekh kar

(1122) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naza Ki SaKHti BaDhi Un Ko Pasheman Dekh Kar In English By Famous Poet Abbas Ali Khan Bekhud. Naza Ki SaKHti BaDhi Un Ko Pasheman Dekh Kar is written by Abbas Ali Khan Bekhud. Read famous Poem Naza Ki SaKHti BaDhi Un Ko Pasheman Dekh Kar for youth and Student by Abbas Ali Khan Bekhud. Free Download Naza Ki SaKHti BaDhi Un Ko Pasheman Dekh Kar in PDF.