Chashm-e-zahir-bin Ko Har Ek Pesh-manzar Aashna

chashm-e-zahir-bin ko har ek pesh-manzar aashna

mil nahin sakta tujhe ab mujh se behtar aashna

zarf tera mujh pe raushan ho gaya hai is tarah

jis tarah qatre se hota hai samundar aashna

TuTna taqdir us ki toDna us ka KHamir

ghair mumkin hai na ho shishe se patthar aashna

har tarah ke phul hain dil ki zamin par dekhiye

kis tarah kah dun nahin sine se KHanjar aashna

main ne chaTTanon pe gul-buTe tarashe hain bahut

aap ki nazren bhi hotin kash manzar-ashna

jaanta hun kaun kya hai aap kyun den mashwara

main luTeron se bhi waqif aur rahbar-ashna

(1044) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-zahir-bin Ko Har Ek Pesh-manzar Aashna In English By Famous Poet Abbas Alvi. Chashm-e-zahir-bin Ko Har Ek Pesh-manzar Aashna is written by Abbas Alvi. Read famous Poem Chashm-e-zahir-bin Ko Har Ek Pesh-manzar Aashna for youth and Student by Abbas Alvi. Free Download Chashm-e-zahir-bin Ko Har Ek Pesh-manzar Aashna in PDF.