Na Ho Jis Pe Bharosa Us Se Hum Yari Nahin Rakhte

na ho jis pe bharosa us se hum yari nahin rakhte

hum apne aashiyan ke pas chingari nahin rakhte

faqat nam-e-mohabbat par hukumat kar nahin sakte

jo dushman se kabhi laDne ki tayyari nahin rakhte

KHaridaron mein rah kar zindagi wo bik bhi jate hain

tere bazar mein jo log hushyari nahin rakhte

banao ghar na miTTi ke lab-e-sahil ai nadanon

samundar to kinaron se wafadari nahin rakhte

ana ko saKHti-e-haalat aksar toD deti hai

isi Dar se kabhi fitrat mein KHuddari nahin rakhte

dar-o-diwar se un ke bhala kya aaegi KHushbu

jo ghar ke sahn mein phulon ki ek kyari nahin rakhte

faqat lafzon se hum 'dana' hunar ki dad lete hain

qalam wale kabhi shauq-e-adakari nahin rakhte

(1807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ho Jis Pe Bharosa Us Se Hum Yari Nahin Rakhte In English By Famous Poet Abbas Dana. Na Ho Jis Pe Bharosa Us Se Hum Yari Nahin Rakhte is written by Abbas Dana. Read famous Poem Na Ho Jis Pe Bharosa Us Se Hum Yari Nahin Rakhte for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Na Ho Jis Pe Bharosa Us Se Hum Yari Nahin Rakhte in PDF.