Nam KHushbu Tha Sarapa Bhi Ghazal Jaisa Tha

nam KHushbu tha sarapa bhi ghazal jaisa tha

chand se chehre pe parda bhi ghazal jaisa tha

sare alfaz ghazal jaise the guftar ke waqt

rang-e-izhaar-e-tamanna bhi ghazal jaisa tha

phul hi phul the kaliyan thin hasin galiyan thin

aap ke ghar ka wo rasta bhi ghazal jaisa tha

us ki aankhen bhi hasin aankh mein aansu bhi hasin

gham mein Duba hua chehra bhi ghazal jaisa tha

wo jawani wo mohabbat wo shararat ka nasha

wo meri umr ka hissa bhi ghazal jaisa tha

fasle the na judai thi na tanhai thi

teri qurbat ka wo lamha bhi ghazal jaisa tha

wo na mera na main us ka tha magar ai 'dana'

dhundla dhundla sa wo rishta bhi ghazal jaisa tha

(1938) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nam KHushbu Tha Sarapa Bhi Ghazal Jaisa Tha In English By Famous Poet Abbas Dana. Nam KHushbu Tha Sarapa Bhi Ghazal Jaisa Tha is written by Abbas Dana. Read famous Poem Nam KHushbu Tha Sarapa Bhi Ghazal Jaisa Tha for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Nam KHushbu Tha Sarapa Bhi Ghazal Jaisa Tha in PDF.