Uski Wafa Na Meri Wafa Ka Sawal Tha

us ki wafa na meri wafa ka sawal tha

donon hi chup the sirf ana ka sawal tha

is kashmakash mein KHatm hua raat ka safar

zid thi meri to us ki haya ka sawal tha

sab muntazir the aasman deta hai kya jawab

pyase labon pe kali ghaTa ka sawal tha

majbur hum the aur wo muKHtar tha magar

donon ke beach dast dua ka sawal tha

jaana tha mai-kade se hamein ku-e-yar tak

lekin hamari laghzish-e-pa ka sawal tha

taqsim karne nikla tha wo raushni magar

jalte hue diye ko hawa ka sawal tha

'dana' mujhe azal se ghazal ki talash thi

ye meri zindagi ki ada ka sawal tha

(1703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Wafa Na Meri Wafa Ka Sawal Tha In English By Famous Poet Abbas Dana. Uski Wafa Na Meri Wafa Ka Sawal Tha is written by Abbas Dana. Read famous Poem Uski Wafa Na Meri Wafa Ka Sawal Tha for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Uski Wafa Na Meri Wafa Ka Sawal Tha in PDF.