Wafadari Pe De Di Jaan Ghaddari Nahin Aai

wafadari pe de di jaan ghaddari nahin aai

hamare KHun mein ab tak ye bimari nahin aai

KHuda ka shukr sohbat ka asar hota nahin hum par

adakaron mein rah kar bhi adakari nahin aai

amir-e-shahr ho kar bhi nahin koi teri izzat

tere hisse mein ghairat aur KHuddari nahin aai

hamari dars-gahon ki nizamat aisi bigDi hai

kitaben paDh ke bhi bachchon mein hushyari nahin aai

lagai aag us ne shahr mein itni safai se

ki us ke ghar pe uD ke ek bhi chingari nahin aai

abhi se kis liye beTe ko bhejen naukri karne

hamare dast-o-pa mein itni lachaari nahin aai

main nadani pe apni aaj tak hairan hun 'dana'

ki duniya ko samajhne ki samajhdari nahin aai

(6457) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wafadari Pe De Di Jaan Ghaddari Nahin Aai In English By Famous Poet Abbas Dana. Wafadari Pe De Di Jaan Ghaddari Nahin Aai is written by Abbas Dana. Read famous Poem Wafadari Pe De Di Jaan Ghaddari Nahin Aai for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Wafadari Pe De Di Jaan Ghaddari Nahin Aai in PDF.