Haalat-e-haal Se Begana Bana Rakkha Hai

haalat-e-haal se begana bana rakkha hai

KHud ko mazi ka nihan-KHana bana rakkha hai

KHauf-e-dozaKH ne hi ijad kiya hai sajda

Dar ne insan ko diwana bana rakkha hai

mimbar-e-ishq se taqrir ki KHwahish hai hamein

dil ko is waste maulana bana rakkha hai

matam-e-shauq bapa karte hain har sham yahan

jism ko hum ne azan-KHana bana rakkha hai

waqt-e-ruKHsat hai mere chahne walon ne bhi ab

sans ko waqt ka paimana bana rakkha hai

jaante hain wo parinda hai nahin Thahrega

hum ne us dil ko magar dana bana rakkha hai

(2529) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haalat-e-haal Se Begana Bana Rakkha Hai In English By Famous Poet Abbas Qamar. Haalat-e-haal Se Begana Bana Rakkha Hai is written by Abbas Qamar. Read famous Poem Haalat-e-haal Se Begana Bana Rakkha Hai for youth and Student by Abbas Qamar. Free Download Haalat-e-haal Se Begana Bana Rakkha Hai in PDF.