Hum Aise Sar-phire Duniya Ko Kab Darkar Hote Hain

hum aise sar-phire duniya ko kab darkar hote hain

agar hote bhi hain be-intiha dushwar hote hain

KHamoshi kah rahi hai ab ye do-aba rawan hoga

hawa chup ho to barish ke shadid aasar hote hain

zara si baat hai is ka tamasha kya banaen hum

irade TuTte hain hausle mismar hote hain

shikayat zindagi se kyun karen hum KHud hi tham jaen

jo kam-raftar hote hain wo kam-raftar hote hain

gale mein zindagi ke risman-e-waqt hai to kya

parinde qaid mein hon to bahut hoshiyar hote hain

jahan wale muqayyad hain abhi tak ahd-e-tifli mein

yahan ab bhi khilaune raunaq-e-bazar hote hain

gulu-e-KHushk un ko bhejta hai de ke mashkiza

kuchh aansu tishna-kaamon ke alam-bardar hote hain

badan un ko kabhi bahar nikalne hi nahin deta

'qamar-abbas' to ba-qaeda tayyar hote hain

(3075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aise Sar-phire Duniya Ko Kab Darkar Hote Hain In English By Famous Poet Abbas Qamar. Hum Aise Sar-phire Duniya Ko Kab Darkar Hote Hain is written by Abbas Qamar. Read famous Poem Hum Aise Sar-phire Duniya Ko Kab Darkar Hote Hain for youth and Student by Abbas Qamar. Free Download Hum Aise Sar-phire Duniya Ko Kab Darkar Hote Hain in PDF.