Ahl-e-junun The Fasl-e-bahaaran Ke Sar Gae

ahl-e-junun the fasl-e-bahaaran ke sar gae

hum log KHwahishon ki hararat se mar gae

hijr o visal ek hi lamhe ki baat thi

wo pal guzar gaya to zamane guzar gae

ai tirgi-e-shahr-e-tamanna bata bhi de

wo chand kya hue wo sitare kidhar gae

wahshat ke is nagar mein wo qaus-e-quzah se log

jaane kahan se aae the jaane kidhar gae

KHushbu asir kar ke uDae phiri hamein

phir yun hua ki hum bhi faza mein bikhar gae

(1268) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahl-e-junun The Fasl-e-bahaaran Ke Sar Gae In English By Famous Poet Abbas Rizvi. Ahl-e-junun The Fasl-e-bahaaran Ke Sar Gae is written by Abbas Rizvi. Read famous Poem Ahl-e-junun The Fasl-e-bahaaran Ke Sar Gae for youth and Student by Abbas Rizvi. Free Download Ahl-e-junun The Fasl-e-bahaaran Ke Sar Gae in PDF.