Dhuan Sa Phail Gaya Dil Mein Sham Dhalte Hi

dhuan sa phail gaya dil mein sham Dhalte hi

badal gae mere mausam tere badalte hi

simaTte phailte sae kalam karne lage

lahu mein KHauf ka pahla charagh jalte hi

koi malul si KHushbu faza mein tair gai

kisi KHayal ke harf-o-sada mein Dhalte hi

wo dost tha ki adu main ne sirf ye jaana

ki wo zamin pe aaya mere sambhalte hi

badan ki aag ne lafzon ko phir se zinda kiya

huruf sabz hue barf ke pighalte hi

wo habs tha ki tarasti thi sans lene ko

so ruh taza hui jism se nikalte hi

(1483) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhuan Sa Phail Gaya Dil Mein Sham Dhalte Hi In English By Famous Poet Abbas Rizvi. Dhuan Sa Phail Gaya Dil Mein Sham Dhalte Hi is written by Abbas Rizvi. Read famous Poem Dhuan Sa Phail Gaya Dil Mein Sham Dhalte Hi for youth and Student by Abbas Rizvi. Free Download Dhuan Sa Phail Gaya Dil Mein Sham Dhalte Hi in PDF.