Guzar Gaya Wo Zamana Wo ZaKHm Bhar Bhi Gae

guzar gaya wo zamana wo zaKHm bhar bhi gae

safar tamam hua aur ham-safar bhi gae

usi nazar ke liye be-qarar rahte the

usi nigah ki be-tabiyon se Dar bhi gae

hamari rah mein saya kahin nahin tha magar

kisi shajar ne pukara to hum Thahar bhi gae

ye sail-e-ashk hai barbaad kar ke chhoDega

ye ghar na paoge dariya agar utar bhi gae

sahar hui to ye uqda bhi taeron pe khula

ki aashiyan hi nahin ab ke baal-o-par bhi gae

bahut aziz thi ye zindagi magar hum log

kabhi kabhi to kisi aarzu mein mar bhi gae

shajar ke sath koi barg-e-zard bhi na raha

hawa chali to bahaaron ke nauhagar bhi gae

(1461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Gaya Wo Zamana Wo ZaKHm Bhar Bhi Gae In English By Famous Poet Abbas Rizvi. Guzar Gaya Wo Zamana Wo ZaKHm Bhar Bhi Gae is written by Abbas Rizvi. Read famous Poem Guzar Gaya Wo Zamana Wo ZaKHm Bhar Bhi Gae for youth and Student by Abbas Rizvi. Free Download Guzar Gaya Wo Zamana Wo ZaKHm Bhar Bhi Gae in PDF.