Har Taraf Shor-e-fughan Hai Koi Sunta Hi Nahin

har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin

qafila hai ki rawan hai koi sunta hi nahin

ek sada puchhti rahti hai koi zinda hai

main kahe jata hun han hai koi sunta hi nahin

main jo chup tha hama-tan-gosh thi basti sari

ab mere munh mein zaban hai koi sunta hi nahin

dekhne wale to is shahr mein yun bhi kam the

ab samaat bhi giran hai koi sunta hi nahin

ek hangama ki is dil mein bapa rahta tha

ab karan-ta-ba-karan hai koi sunta hi nahin

kya sitam hai ki mere shahr mein meri aawaz

jaise aawaz-e-sagan hai koi sunta hi nahin

(2148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Taraf Shor-e-fughan Hai Koi Sunta Hi Nahin In English By Famous Poet Abbas Rizvi. Har Taraf Shor-e-fughan Hai Koi Sunta Hi Nahin is written by Abbas Rizvi. Read famous Poem Har Taraf Shor-e-fughan Hai Koi Sunta Hi Nahin for youth and Student by Abbas Rizvi. Free Download Har Taraf Shor-e-fughan Hai Koi Sunta Hi Nahin in PDF.