Jab Koi Tir Hawadis Ki Kaman Se Aaya

jab koi tir hawadis ki kaman se aaya

naghma ek aur mere mutrib-e-jaan se aaya

ek nazzare ne mere liye aankhen bhejin

dil kisi kargah-e-shisha-giran se aaya

jab bhi is dil ne tere qurb ki daulat chahi

ek saya sa nikal kar rag-e-jaan se aaya

main na Darta tha anasir ki sitam-koshi se

KHauf aaya to bas ek umr-e-rawan se aaya

kya karun KHilat o dastar ki KHwahish ki mujhe

zist karne ka saliqa bhi ziyan se aaya

main to ek KHwab ko aankhon mein liye phirta tha

ye sitara mere pahlu mein kahan se aaya

(1245) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Koi Tir Hawadis Ki Kaman Se Aaya In English By Famous Poet Abbas Rizvi. Jab Koi Tir Hawadis Ki Kaman Se Aaya is written by Abbas Rizvi. Read famous Poem Jab Koi Tir Hawadis Ki Kaman Se Aaya for youth and Student by Abbas Rizvi. Free Download Jab Koi Tir Hawadis Ki Kaman Se Aaya in PDF.