Jis Ko Hum Samajhte The Umr Bhar Ka Rishta Hai

jis ko hum samajhte the umr bhar ka rishta hai

ab wo rabta jaise rahguzar ka rishta hai

subh tak ye maujen bhi thak ke so hi jaengi

chand ka samundar hai raat bhar ka rishta hai

ye jo itne sare dil sath hi dhaDakte hain

kuchh qalam ka nata hai kuchh hunar ka rishta hai

tez hain to kya gham hai tund hain to shikwa kya

in hawaon se apna baal-o-par ka rishta hai

is hasin tasawwur ka meri surKH aankhon se

aab o gil ka nata hai baam-o-dar ka rishta hai

ek na-tawan rishta us se ab bhi baqi hai

jis tarah duaon ka aur asar ka rishta hai

(1833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ko Hum Samajhte The Umr Bhar Ka Rishta Hai In English By Famous Poet Abbas Rizvi. Jis Ko Hum Samajhte The Umr Bhar Ka Rishta Hai is written by Abbas Rizvi. Read famous Poem Jis Ko Hum Samajhte The Umr Bhar Ka Rishta Hai for youth and Student by Abbas Rizvi. Free Download Jis Ko Hum Samajhte The Umr Bhar Ka Rishta Hai in PDF.