Sitare Chahte Hain Mahtab Mangte Hain

sitare chahte hain mahtab mangte hain

mere dariche nai aab-o-tab mangte hain

wo KHush-KHiram jab is rah se guzarta hai

to sang-o-KHisht bhi izn-e-KHitab mangte hain

koi hawa se ye kah de zara Thahar jae

ki raqs karne ki mohlat hubab mangte hain

ajib turfa-tamasha hai mere ahd ke log

sawal karne se pahle jawab mangte hain

talab karen to ye aankhen bhi in ko de dun main

magar ye log in aankhon ke KHwab mangte hain

ye ehtisab ajab hai ki mohtasib hi nahin

rikab thamne wale hisab mangte hain

sutun-o-baam ki diwar-o-dar ki shart nahin

bas ek ghar tere KHana-KHarab mangte hain

(1825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitare Chahte Hain Mahtab Mangte Hain In English By Famous Poet Abbas Rizvi. Sitare Chahte Hain Mahtab Mangte Hain is written by Abbas Rizvi. Read famous Poem Sitare Chahte Hain Mahtab Mangte Hain for youth and Student by Abbas Rizvi. Free Download Sitare Chahte Hain Mahtab Mangte Hain in PDF.