Badan Ke Chaak Par Zarf-e-numu Tayyar Karta Hun

badan ke chaak par zarf-e-numu tayyar karta hun

main kuza-gar hun aur miTTi ka karobar karta hun

meri KHandaq mein us ke qurb ki qindil raushan hai

mere dushman se kah dena main us se pyar karta hun

kahin to reg-e-KHufta ki tarah pani mein paD rahta

waraq-gardani-e-sahra main kyun be-kar karta hun

uThae phir raha hun hasrat-e-tamir ki inTen

jahan saya nahin hota wahin diwar karta hun

jahan bhi sham-e-tan jae muhafiz sanp ki surat

main apni rezgari ki wahin ambar karta hun

usi ko samne pa kar usi ko bhinch kar 'tabish'

sukut-e-na-shanasi ko suKHan-asar karta hun

(1285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Ke Chaak Par Zarf-e-numu Tayyar Karta Hun In English By Famous Poet Abbas Tabish. Badan Ke Chaak Par Zarf-e-numu Tayyar Karta Hun is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Badan Ke Chaak Par Zarf-e-numu Tayyar Karta Hun for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Badan Ke Chaak Par Zarf-e-numu Tayyar Karta Hun in PDF.