Bahut Be-kar Mausam Hai Magar Kuchh Kaam Karna Hai

bahut be-kar mausam hai magar kuchh kaam karna hai

ki taza zaKHm milne tak purana zaKHm bharna hai

abhi sada waraq par nam tera likh ke baiTha hun

abhi is mein mahak aani hai titli ne utarna hai

baDhe jo habs to shaKHen hila dena ki ab hum ko

hawa ke sath jina hai hawa ke sath marna hai

mabaada us ko diqqat ho nishane tak pahunchne mein

so main ne phul se diwar ke raKHne ko bharna hai

yahi ek shaghl rakhna hai aziyyat ke dinon mein bhi

kisi ko bhul jaana hai kisi ko yaad karna hai

koi chehra na ban paya muqaddar ki lakiron se

so ab apni hatheli mein mujhe KHud rang bharna hai

koi rasta mile kyunkar mere pa-e-KHajalat ko

yahan to panw dharna bhi koi ilzam dharna hai

wo har lamha dua dete hain lambi umr ki 'tabish'

mujhe lagta hai pyaron ko bhi ruKHsat main ne karna hai

(1363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Be-kar Mausam Hai Magar Kuchh Kaam Karna Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Bahut Be-kar Mausam Hai Magar Kuchh Kaam Karna Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Bahut Be-kar Mausam Hai Magar Kuchh Kaam Karna Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Bahut Be-kar Mausam Hai Magar Kuchh Kaam Karna Hai in PDF.