Dub Kar Bhi Na PaDa Farq Giran-jaani Mein

Dub kar bhi na paDa farq giran-jaani mein

main hun patthar ki tarah bahte hue pani mein

ye mohabbat to bahut baad ka qissa hai miyan

main ne us hath ko pakDa tha pareshani mein

raftagan tum ne abas Dhong rachaya warna

ishq ko daKHl nahin maut ki arzani mein

ye mohabbat bhi wilayat ki tarah rakhti hai

haalat-e-haal mein ye haalat-e-hairani mein

is liye jal ke kabhi rakh nahin hota dil

ye kabhi aag mein hota hai kabhi pani mein

ek mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish'

kuchh baDe faisle ho jate hain nadani mein

(2509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dub Kar Bhi Na PaDa Farq Giran-jaani Mein In English By Famous Poet Abbas Tabish. Dub Kar Bhi Na PaDa Farq Giran-jaani Mein is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Dub Kar Bhi Na PaDa Farq Giran-jaani Mein for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Dub Kar Bhi Na PaDa Farq Giran-jaani Mein in PDF.