Ek Mushkil Si Bahar-taur Bani Hoti Hai

ek mushkil si bahar-taur bani hoti hai

tujh se baz aaen to phir KHud se Thani hoti hai

kuchh to le baiThti hai apni shikasta-pai

aur kuchh rah mein chhanw bhi ghani hoti hai

mere sine se zara kan laga kar dekho

sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai

aabla-pai bhi hoti hai muqaddar apna

sar pe aflak ki chadar bhi tani hoti hai

dudh ki nahr nikali hai ghamon se hum ne

hum bata sakte hain kya koh-kani hoti hai

aankh to khulti hai kirnon ki talab mein lekin

zeb-e-mizhgan kisi neze ki ani hoti hai

dasht-e-ghurbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish'

ab to ghar mein bhi gharib-ul-watani hoti hai

(1217) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Mushkil Si Bahar-taur Bani Hoti Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ek Mushkil Si Bahar-taur Bani Hoti Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ek Mushkil Si Bahar-taur Bani Hoti Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ek Mushkil Si Bahar-taur Bani Hoti Hai in PDF.