Ek Qadam Tegh Pe Aur Ek Sharar Par Rakkha

ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha

meri wahshat ne mujhe raqs-e-digar par rakkha

mere malik ne tujhe aaina-dari de kar

nigaran tujh ko mere husn-e-nazar par rakkha

la-talluq nazar aata tha ba-zahir lekin

shahr ko us ne meri KHair-KHabar par rakkha

zindagi tu ne qadam moD diye aur taraf

aur andar se mujhe aur safar par rakkha

ahl-e-wahshat ko magar kaun batata ja kar

ho gaya naf-e-ghazalin koi ghar par rakkha

konplen phuT paDin dast-e-dua se mere

dam-e-amin jo mein dida-e-tar par rakkha

KHatm hoti hi nahin girya-o-zari un ki

mir ne hath to har lafz ke sar par rakkha

main ne is Dar se use toD liya hai 'tabish'

sukh jae na kahin shaKH-e-shajar par rakkha

(1205) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Qadam Tegh Pe Aur Ek Sharar Par Rakkha In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ek Qadam Tegh Pe Aur Ek Sharar Par Rakkha is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ek Qadam Tegh Pe Aur Ek Sharar Par Rakkha for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ek Qadam Tegh Pe Aur Ek Sharar Par Rakkha in PDF.