Faqat Mal-o-zar-e-diwar-o-dar Achchha Nahin Lagta

faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta

jahan bachche nahin hote wo ghar achchha nahin lagta

mere dukh tak mere KHun aur pasine ki kamai hain

tumhein kyun meri mehnat ka samar achchha nahin lagta

shikasta satr chahe rang-o-bu-e-pairahan Thahre

kisi surat mujhe ijz-e-hunar achchha nahin lagta

mayassar ho na jab tak bu-e-taza-tar ki hamrahi

hawa ki tarah galiyon se guzar achchha nahin lagta

rah-e-tesha-talab teri main wo diwar hun jis ko

na ho shoridgi jis mein wo sar achchha nahin lagta

gali mein khelte bachchon ke hathon ka main patthar hun

mujhe is sahn ka KHali shajar achchha nahin lagta

chamakta hun har ek mahtab-ru ke ru-e-raushan mein

main suraj hun mujhe shab ka safar achchha nahin lagta

jise dekhen wahi phir dekhne ki aarzu Thahre

jise chahen wahi bar-e-digar achchha nahin lagta

isi KHatir use 'tabish' uchakna chahta hun main

mujhe talab ki tah mein qamar achchha nahin lagta

(1269) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faqat Mal-o-zar-e-diwar-o-dar Achchha Nahin Lagta In English By Famous Poet Abbas Tabish. Faqat Mal-o-zar-e-diwar-o-dar Achchha Nahin Lagta is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Faqat Mal-o-zar-e-diwar-o-dar Achchha Nahin Lagta for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Faqat Mal-o-zar-e-diwar-o-dar Achchha Nahin Lagta in PDF.