Har-chand Teri Yaad Junun-KHez Bahut Hai

har-chand teri yaad junun-KHez bahut hai

main jag raha hun ki hawa tez bahut hai

kyun kar na mere tan se chhalak jae KHamoshi

paimana-e-jaan zabt se labrez bahut hai

kya koh-e-giran Thahre teri rahguzar mein

ai husn teri ek hi mahmez bahut hai

ek chand ki kashti hi nahin Dubne wali

warna wo samundar to bala-KHez bahut hai

gul-dan se lagte hi bikhar jati hai titli

goya ye rag-e-sang bhi KHun-rez bahut hai

palkon pe koi phul nahin hai to ajab kya

kahne ko to miTTi meri zarKHez bahut hai

tum KHud sa samajh kar na ise hath lagana

wo KHak ka putla hi sahi tez bahut hai

dharna hai kahin to ye giran-bari-e-KHatir

zanu jo nahin sar ke liye mez bahut hai

kya hai jo kaTore ke bhi pairak nahin hum

jine ko to ye hila-e-tabrez bahut hai

'tabish' jo guzarti hi nahin sham ki had se

sochen to wahin raat sahar-KHez bahut hai

(1296) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-chand Teri Yaad Junun-KHez Bahut Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Har-chand Teri Yaad Junun-KHez Bahut Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Har-chand Teri Yaad Junun-KHez Bahut Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Har-chand Teri Yaad Junun-KHez Bahut Hai in PDF.