Hawa-e-tez Tera Ek Kaam AaKHiri Hai

hawa-e-tez tera ek kaam aaKHiri hai

ki naKHl-e-KHushk pe mah-e-tamam aaKHiri hai

main jis sukun se baiTha hun is kinare par

sukun se lagta hai mera qayam aaKHiri hai

phir is ke baad ye bazar-e-dil nahin lagna

KHarid lijiye sahib ghulam aaKHiri hai

guzar chala hun kisi ko yaqin dilata hua

ki lauh-e-dil pe raqam hai jo nam aaKHiri hai

tabhi to peD ki aankhon mein chand bhar aaya

kisi ne kah diya hoga ki sham aaKHiri hai

ye lag raha hai mohabbat ke pahle zine par

ki jis maqam pe hun ye maqam aaKHiri hai

kisi ne phir se khaDe kar diye dar-o-diwar

KHayal tha ki mera inhidam aaKHiri hai

hamare jaise wahan kis shumar mein honge

ki jis qatar mein majnun ka nam aaKHiri hai

shuru-e-ishq mein aisi udasiyan 'tabish'

har ek sham ye lagta hai sham aaKHiri hai

(2560) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa-e-tez Tera Ek Kaam AaKHiri Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Hawa-e-tez Tera Ek Kaam AaKHiri Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Hawa-e-tez Tera Ek Kaam AaKHiri Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Hawa-e-tez Tera Ek Kaam AaKHiri Hai in PDF.