Ishq Ki Jot Jagane Mein BaDi Der Lagi

ishq ki jot jagane mein baDi der lagi

sae se dhup banane mein baDi der lagi

main hun is shahr mein taKHir se aaya hua shaKHs

mujh ko ek aur zamane mein baDi der lagi

ye jo mujh par kisi apne ka guman hota hai

mujh ko aisa nazar aane mein baDi der lagi

ek sada aai jharoke se ki tum kaise ho

phir mujhe lauT ke jaane mein baDi der lagi

bolta hun to mere honT jhulas jate hain

us ko ye baat batane mein baDi der lagi

mere arse mein koi sahl na tha kar-e-suKHan

ek do sher kamane mein baDi der lagi

main sar-e-KHak koi peD nahin tha 'tabish'

is liye panw jamane mein baDi der lagi

(2907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ki Jot Jagane Mein BaDi Der Lagi In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ishq Ki Jot Jagane Mein BaDi Der Lagi is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ishq Ki Jot Jagane Mein BaDi Der Lagi for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ishq Ki Jot Jagane Mein BaDi Der Lagi in PDF.