Itna Aasan Nahin Masnad Pe BiThaya Gaya Main

itna aasan nahin masnad pe biThaya gaya main

shahr-e-tohmat teri galiyon mein phiraya gaya main

mere hone se yahan aai hai pani ki bahaar

shaKH-e-girya tha sar-e-dasht lagaya gaya main

ye to ab ishq mein ji lagne laga hai kuchh kuchh

is taraf pahle-pahal gher ke laya gaya main

KHub itna tha ki diwar pakaD kar nikla

us se milne ke liye surat-e-saya gaya main

tujh se kuchh kahne ki himmat hi nahin thi warna

ek muddat teri dahliz tak aaya gaya main

KHalwat-e-KHas mein bulwane se pahle 'tabish'

aam logon mein bahut der biThaya gaya main

(2407) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna Aasan Nahin Masnad Pe BiThaya Gaya Main In English By Famous Poet Abbas Tabish. Itna Aasan Nahin Masnad Pe BiThaya Gaya Main is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Itna Aasan Nahin Masnad Pe BiThaya Gaya Main for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Itna Aasan Nahin Masnad Pe BiThaya Gaya Main in PDF.