Jahan-e-marg-e-sada Mein Ek Aur Silsila KHatm Ho Gaya Hai

jahan-e-marg-e-sada mein ek aur silsila KHatm ho gaya hai

kalam yani KHuda ka hum se mukalima KHatm ho gaya hai

hamein to bas ye pata chala tha ki unTon wale chale gae hain

kisi ko is ki KHabar nahin jo moamla KHatm ho gaya hai

na titliyon jaisi dopahar hai na ab wo suraj gulab jaisa

jise mohabbat kaha gaya wo mughaalta KHatm ho gaya hai

tumhaari baaton ke jin pe shahtut jhaD rahe hon wahi bataen

ki talKH-abaad mein hamara to zaiqa KHatm ho gaya hai

hamari aankhon se KHwab o KHas ke tamam pushte haTae jaen

hamara naraaz paniyon se muahida KHatm ho gaya hai

ab is liye bhi hamein mohabbat ko tul dena paDega 'tabish'

kisi ne puchha to kya kahenge ki silsila KHatm ho gaya hai

(1300) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan-e-marg-e-sada Mein Ek Aur Silsila KHatm Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Jahan-e-marg-e-sada Mein Ek Aur Silsila KHatm Ho Gaya Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Jahan-e-marg-e-sada Mein Ek Aur Silsila KHatm Ho Gaya Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Jahan-e-marg-e-sada Mein Ek Aur Silsila KHatm Ho Gaya Hai in PDF.