Jhilmil Se Kya Rabt Nikalen Kashti Ki Taqdiron Ka

jhilmil se kya rabt nikalen kashti ki taqdiron ka

tare kashf nahin kar sakte be-awaz jaziron ka

har nakaami ne aise bhi kuchh diwaren khinchi hain

ek be-naqsha shahr bana hai la-hasil tadbiron ka

ek muddat se qarya-e-jaan mein jhaDte hain jhankar ke phul

jaise mere jism ke andar mausam ho zanjiron ka

dur se jhunD parindon ka lagte hain KHeme walon ko

kis andaz ka aana hai ye aag chhiDakte tiron ka

raat gae jab tare bhi kuchh be-mani se lagte hain

ek dabistan khulta hai un aankhon ki tafsiron ka

ek hatheli par us ne mahkae hina ki sundar phul

ek hatheli ki qismat mein likkha dasht lakiron ka

(1284) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jhilmil Se Kya Rabt Nikalen Kashti Ki Taqdiron Ka In English By Famous Poet Abbas Tabish. Jhilmil Se Kya Rabt Nikalen Kashti Ki Taqdiron Ka is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Jhilmil Se Kya Rabt Nikalen Kashti Ki Taqdiron Ka for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Jhilmil Se Kya Rabt Nikalen Kashti Ki Taqdiron Ka in PDF.