Kas Kar Bandhi Gai Ragon Mein Dil Ki Girah To Dhili Hai

kas kar bandhi gai ragon mein dil ki girah to Dhili hai

us ko dekh ke ji bhar aana kitni baDi tabdili hai

zinda rahne ki KHwahish mein dam dam lau de uThta hun

mujh mein sans ragaD khati hai ya machis ki tili hai

un aankhon mein kudne walo tum ko itna dhyan rahe

wo jhilen payab hain lekin un ki tah pathrili hai

kitni sadiyan suraj chamka kitne dozaKH aag jali

mujhe banane wale meri miTTi ab tak gili hai

zinda hun to mujhe bataen nile honTon wale log

mera kaisa rang karegi baat jo main ne pi li hai

mumkin hai ab waqt ki chadar par main karun rafu ka kaam

jute main ne ganTh liye hain gudDi main ne si li hai

(1527) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kas Kar Bandhi Gai Ragon Mein Dil Ki Girah To Dhili Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Kas Kar Bandhi Gai Ragon Mein Dil Ki Girah To Dhili Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Kas Kar Bandhi Gai Ragon Mein Dil Ki Girah To Dhili Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Kas Kar Bandhi Gai Ragon Mein Dil Ki Girah To Dhili Hai in PDF.