Koi Takra Ke Subuk-sar Bhi To Ho Sakta Hai

koi Takra ke subuk-sar bhi to ho sakta hai

meri tamir mein patthar bhi to ho sakta hai

kyun na ai shaKHs tujhe hath laga kar dekhun

tu mere wahm se baDh kar bhi to ho sakta hai

tu hi tu hai to phir ab jumla jamal-e-duniya

tera shak aur kisi par bhi to ho sakta hai

ye jo hai phul hatheli pe ise phul na jaan

mera dil jism se bahar bhi to ho sakta hai

shaKH par baiThe parinde ko uDane wale

peD ke hath mein patthar bhi to ho sakta hai

kya zaruri hai ki bahar hi numu ho meri

mera khilna mere andar bhi to ho sakta hai

ye jo hai ret ka Tila mere qadmon ke tale

koi dam mein mere upar bhi to ho sakta hai

kya zaruri hai ki hum haar ke jiten 'tabish'

ishq ka khel barabar bhi to ho sakta hai

(3017) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Takra Ke Subuk-sar Bhi To Ho Sakta Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Koi Takra Ke Subuk-sar Bhi To Ho Sakta Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Koi Takra Ke Subuk-sar Bhi To Ho Sakta Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Koi Takra Ke Subuk-sar Bhi To Ho Sakta Hai in PDF.