Mujh Tahi-jaan Se Tujhe Inkar Pahle To Na Tha

mujh tahi-jaan se tujhe inkar pahle to na tha

tera aur mere liye diwar pahle to na tha

husn ne saunpi hai ye kaisi nigun-sari mujhe

main kisi ka aaina-bardar pahle to na tha

is tarah to pa-ba-jaulan hum na phirte the kabhi

in gali-kuchon mein ye bazar pahle to na tha

ab kahan se aai us kafir ke dil mein raushni

aaina halqa-ba-gosh-e-yar pahle to na tha

'tabish' ek daryuza-gar ko baz rakhne ke liye

koi darwaza pas-e-diwar pahle to na tha

(1278) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Tahi-jaan Se Tujhe Inkar Pahle To Na Tha In English By Famous Poet Abbas Tabish. Mujh Tahi-jaan Se Tujhe Inkar Pahle To Na Tha is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Mujh Tahi-jaan Se Tujhe Inkar Pahle To Na Tha for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Mujh Tahi-jaan Se Tujhe Inkar Pahle To Na Tha in PDF.