Musafirat Mein Shab-e-wagha Tak Pahunch Gae Hain

musafirat mein shab-e-wagha tak pahunch gae hain

ye log apni abad-sara tak pahunch gae hain

ab is se agla safar hamara lahu karega

ki hum madine se karbala tak pahunch gae hain

agar mubaraz-talab nahin the to kis liye hum

charagh le kar dar-e-hawa tak pahunch gae hain

gulabon aur gardanon se andaza ho raha hai

ki hum kisi mausam-e-jaza tak pahunch gae hain

teri mohabbat mein gumrahi ka ajab nasha tha

ki tujh tak aate hue KHuda tak pahunch gae hain

bata rahi hai ye KHushk patton ki tez barish

hum apne mausam ki ibtida tak pahunch gae hain

hamein bhi shunwai ka yaqin ho chala hai 'tabish'

ki hum bhi tahrik-e-iltiwa tak pahunch gae hain

(1227) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musafirat Mein Shab-e-wagha Tak Pahunch Gae Hain In English By Famous Poet Abbas Tabish. Musafirat Mein Shab-e-wagha Tak Pahunch Gae Hain is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Musafirat Mein Shab-e-wagha Tak Pahunch Gae Hain for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Musafirat Mein Shab-e-wagha Tak Pahunch Gae Hain in PDF.