Naqsh Sare KHak Ke Hain Sab Hunar MiTTi Ka Hai

naqsh sare KHak ke hain sab hunar miTTi ka hai

is dayar-e-rang-o-bu mein bast-o-dar miTTi ka hai

kuchh to apni gardanen kaj hain hawa ke zor se

aur kuchh apni tabiat mein asar miTTi ka hai

chandni KHandan hai apne hujra-e-mahtab par

aur main nazan hun is par mera ghar miTTi ka hai

rahmaten barsa ke bhi abr-e-karam chhaTta nahin

aise lagta hai ki saya charKH par miTTi ka hai

KHak se uThte nahin chalti hawa ke sath hum

ijz-e-KHatir par bahut gahra asar miTTi ka hai

ek namuna hai kisi ki sanat-e-timsal ka

ye jo khiDki hai sada ki ye jo ghar miTTi ka hai

kyun na KHu-e-KHak se KHasta rahe meri ana

pa-ba-gil hun aur KHamir-e-motabar miTTi ka hai

(1893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh Sare KHak Ke Hain Sab Hunar MiTTi Ka Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Naqsh Sare KHak Ke Hain Sab Hunar MiTTi Ka Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Naqsh Sare KHak Ke Hain Sab Hunar MiTTi Ka Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Naqsh Sare KHak Ke Hain Sab Hunar MiTTi Ka Hai in PDF.