Nindon Ka Ek Aalam-e-asbab Aur Hai

nindon ka ek aalam-e-asbab aur hai

shayad kisi ki aankh mein ek KHwab aur hai

tu mujh ko taq-e-sina mein rakkha hua na jaan

main jis mein jal raha hun wo mehrab aur hai

yunhi nahin ye zarbat-e-tesha ki dastaken

lagta hai ek fasil pas-e-bab aur hai

lahra raha hai sath pe mahtab-e-ghota-zan

har-chand ek shahr tah-e-ab aur hai

phuTi hain jis jagah meri aankhon ki konplen

dil se pare wo KHitta-e-shadab aur hai

khoya hua hun nind ke parde ke us taraf

lagta hai ek KHwab pas-e-KHwab aur hai

kirnen to ek nigah-e-subuk-rau ki lahr hain

dumbaala-dari-e-shab-e-mahtab aur hai

'tabish' ye tera aks nahin meri aankh mein

is jhil mein ye partaw-e-zartab aur hai

(1262) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nindon Ka Ek Aalam-e-asbab Aur Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Nindon Ka Ek Aalam-e-asbab Aur Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Nindon Ka Ek Aalam-e-asbab Aur Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Nindon Ka Ek Aalam-e-asbab Aur Hai in PDF.