Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai

pani aankh mein bhar kar laya ja sakta hai

ab bhi jalta shahr bachaya ja sakta hai

ek mohabbat aur wo bhi nakaam mohabbat

lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

dil par pani pine aati hain ummiden

is chashme mein zahr milaya ja sakta hai

mujh gumnam se puchhte hain farhad o majnun

ishq mein kitna nam kamaya ja sakta hai

ye mahtab ye raat ki peshani ka ghaw

aisa zaKHm to dil par khaya ja sakta hai

phaTa-purana KHwab hai mera phir bhi 'tabish'

is mein apna-ap chhupaya ja sakta hai

(2819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai in PDF.