Panw PaDta Hua Rasta Nahin Dekha Jata

panw paDta hua rasta nahin dekha jata

jaane wale tera jaana nahin dekha jata

teri marzi hai jidhar ungli pakaD kar le ja

mujh se ab tere alawa nahin dekha jata

ye hasad hai ki mohabbat ki ijara-dari

darmiyan apna bhi saya nahin dekha jata

tu bhi ai shaKHs kahan tak mujhe bardasht kare

bar bar ek hi chehra nahin dekha jata

ye tere chahne wale bhi ajab hain jaanan

ishq karte hain ki hota nahin dekha jata

ye tere baad khula hai ki judai kya hai

mujh se ab koi akela nahin dekha jata

(1523) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Panw PaDta Hua Rasta Nahin Dekha Jata In English By Famous Poet Abbas Tabish. Panw PaDta Hua Rasta Nahin Dekha Jata is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Panw PaDta Hua Rasta Nahin Dekha Jata for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Panw PaDta Hua Rasta Nahin Dekha Jata in PDF.