Shayad Kisi Bala Ka Tha Saya DaraKHt Par

shayad kisi bala ka tha saya daraKHt par

chiDiyon ne raat shor machaya daraKHt par

mausam tumhaare sath ka jaane kidhar gaya

tum aae aur bor na aaya daraKHt par

dekha na jae dhup mein jalta hua koi

mera jo bas chale karun saya daraKHt par

sab chhoDe ja rahe the safar ki nishaniyan

main ne bhi ek naqsh banaya daraKHt par

ab ke bahaar aai hai shayad ghalat jagah

jo zaKHm dil pe aana tha aaya daraKHt par

hum donon apne apne gharon mein muqim hain

paDta nahin daraKHt ka saya daraKHt par

(1968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shayad Kisi Bala Ka Tha Saya DaraKHt Par In English By Famous Poet Abbas Tabish. Shayad Kisi Bala Ka Tha Saya DaraKHt Par is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Shayad Kisi Bala Ka Tha Saya DaraKHt Par for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Shayad Kisi Bala Ka Tha Saya DaraKHt Par in PDF.