Tere Liye Sab ChhoD Ke Tera Na Raha Main

tere liye sab chhoD ke tera na raha main

duniya bhi gai ishq mein tujh se bhi gaya main

ek soch mein gum hun teri diwar se lag kar

manzil pe pahunch kar bhi Thikane na laga main

warna koi kab galiyan deta hai kisi ko

ye us ka karam hai ki tujhe yaad raha main

main tez hawa mein bhi bagule ki tarah tha

aaya tha mujhe taish magar jhum uTha main

is darja mujhe khokhla kar rakkha tha gham ne

lagta tha gaya ab ke gaya ab ke gaya main

ye dekh mera hath mere KHun se tar hai

KHush ho ki tera madd-e-muqabil na raha main

ek dhoke mein duniya ne meri rae talab ki

kahte the ki patthar hun magar bol paDa main

ab taish mein aate hi pakaD leta hun panw

is ishq se pahle kabhi aisa to na tha main

(2893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Liye Sab ChhoD Ke Tera Na Raha Main In English By Famous Poet Abbas Tabish. Tere Liye Sab ChhoD Ke Tera Na Raha Main is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Tere Liye Sab ChhoD Ke Tera Na Raha Main for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Tere Liye Sab ChhoD Ke Tera Na Raha Main in PDF.