Teri Aankhon Se Apni Taraf Dekhna Bhi Akarat Gaya

teri aankhon se apni taraf dekhna bhi akarat gaya

yani pahchan ka ye naya silsila bhi akarat gaya

yun hinai lakiren uDin ajnabi taeron ki tarah

par-burida sa rang-e-kaf-e-sad-hina bhi akarat gaya

ab khula hai ki mera tere rang mein tere andaz mein

bolna hi nahin dekhna sochna bhi akarat gaya

sun raha hun abhi tak main apni hi aawaz ki bazgasht

yani is dasht mein zor se bolna bhi akarat gaya

wo zuleKHai KHwahish hi apne sabab se pasheman na thi

satwen dar ke andar mera hausla bhi akarat gaya

koi lau tak na di kale peDon ko is aatishin raqs ne

yani jangal mein us mor ka nachna bhi akarat gaya

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Aankhon Se Apni Taraf Dekhna Bhi Akarat Gaya In English By Famous Poet Abbas Tabish. Teri Aankhon Se Apni Taraf Dekhna Bhi Akarat Gaya is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Teri Aankhon Se Apni Taraf Dekhna Bhi Akarat Gaya for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Teri Aankhon Se Apni Taraf Dekhna Bhi Akarat Gaya in PDF.