Ye Ajab Saat-e-ruKHsat Hai Ki Dar Lagta Hai

ye ajab saat-e-ruKHsat hai ki Dar lagta hai

shahr ka shahr mujhe raKHt-e-safar lagta hai

raat ko ghar se nikalte hue Dar lagta hai

chand diwar pe rakkha hua sar lagta hai

hum ko dil ne nahin haalat ne nazdik kiya

dhup mein dur se har shaKHs shajar lagta hai

jis pe chalte hue socha tha ki lauT aaunga

ab wo rasta bhi mujhe shahr-badar lagta hai

mujh se to dil bhi mohabbat mein nahin KHarch hua

tum to kahte the ki is kaam mein ghar lagta hai

waqt lafzon se banai hui chadar jaisa

oDh leta hun to sab KHwab hunar lagta hai

is zamane mein to itna bhi ghanimat hai miyan

koi bahar se bhi darwesh agar lagta hai

apne shajre ki wo tasdiq karae ja kar

jis ko zanjir pahante hue Dar lagta hai

ek muddat se meri man nahin soi 'tabish'

main ne ek bar kaha tha mujhe Dar lagta hai

(2982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ajab Saat-e-ruKHsat Hai Ki Dar Lagta Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ye Ajab Saat-e-ruKHsat Hai Ki Dar Lagta Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ye Ajab Saat-e-ruKHsat Hai Ki Dar Lagta Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ye Ajab Saat-e-ruKHsat Hai Ki Dar Lagta Hai in PDF.