Ye Dekh Mere Naqsh-e-kaf-e-pa Mere Aage

ye dekh mere naqsh-e-kaf-e-pa mere aage

aage bhi kahan jata hai rasta mere aage

ai tishna-labi tu ne kahan la ke Duboya

is bar to dariya bhi nahin tha mere aage

aise nahin manunga main hasti ka tawazun

taqtia kiya jae ye misra mere aage

ai qamat-e-dil-dar-e-guzistha ki muafi

pahle koi mear nahin tha mere aage

kyunkar suKHan aaghaz kiya jae ki wo aankh

la rakhti hai ajdad ka likkha mere aage

hairat hai ki deti hain mujhe tana-e-wahshat

tartib se rakkhi hui ashya mere aage

main jaanta hun us ke sabhi bhed sabhi bhaw

duniya ne kabhi raqs kiya tha mere aage

main ishq ke aadab zara sikh lun pahle

baiThegi adab se yahi duniya mere aage

(1336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dekh Mere Naqsh-e-kaf-e-pa Mere Aage In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ye Dekh Mere Naqsh-e-kaf-e-pa Mere Aage is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ye Dekh Mere Naqsh-e-kaf-e-pa Mere Aage for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ye Dekh Mere Naqsh-e-kaf-e-pa Mere Aage in PDF.