Ye Wahime Bhi Ajab Baam-o-dar Banate Hain

ye wahime bhi ajab baam-o-dar banate hain

hawa ki shaKH pe KHushbu ka ghar banate hain

kaf-e-KHayal pe aks-e-nashat-e-rang tera

nahin banane ka yara magar banate hain

ye mashghala hai tere aashiyan paraston ka

ki zer-e-dam paDe baal-o-par banate hain

wo apni marzi ka matlab nikal leta hai

agarche baat to hum soch kar banate hain

main jab bhi dhup ke sahra mein ja nikalta hun

wo hath mujh pe dua ka shajar banate hain

meri misal hai un sabz shaKHchon jaisi

jo dhup kat ke malbus zar banate hain

hum us ko bhul ke karte hain shairi 'tabish'

kamal-e-be-hunari se hunar banate hain

(1927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Wahime Bhi Ajab Baam-o-dar Banate Hain In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ye Wahime Bhi Ajab Baam-o-dar Banate Hain is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ye Wahime Bhi Ajab Baam-o-dar Banate Hain for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ye Wahime Bhi Ajab Baam-o-dar Banate Hain in PDF.