Yun To Shiraaza-e-jaan Kar Ke Baham UThte Hain

yun to shiraaza-e-jaan kar ke baham uThte hain

baiThne lagta hai dil junhi qadam uThte hain

hum to is razm-gah-e-waqt mein rahte hain jahan

hath kaT jaen to danton se alam uThte hain

sahl angar-tabiat ka bura ho jis se

naz uThte hain tere aur na sitam uThte hain

koi raunde to uThate hain nigahen apni

warna miTTi ki tarah rah se kam uThte hain

nind jati hi nahin arz-e-hunar se aage

daftar-e-gham hi sada kar ke raqam uThte hain

din ki aaghosh-e-razaat se nikal kar 'tabish'

raat ki raat kaf-e-KHak se hum uThte hain

(1563) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Shiraaza-e-jaan Kar Ke Baham UThte Hain In English By Famous Poet Abbas Tabish. Yun To Shiraaza-e-jaan Kar Ke Baham UThte Hain is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Yun To Shiraaza-e-jaan Kar Ke Baham UThte Hain for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Yun To Shiraaza-e-jaan Kar Ke Baham UThte Hain in PDF.