Mujhe Rasta Nahin Milta

mujhe rasta nahin milta

main jauhaD mein khile phulon ke haq mein bol kar

daldal ki tah mein dhans gaya hun

mein nahin kahta ki ye kis aasman ka kaun sa sayyara-e-bad hai

magar ye tah zamin ki aaKHiri chhat hai

yahan din hi nikalta hai na sham-e-umr Dhalti hai

parinda bhi nahin koi ki jis ke panw se koi

nawishta bandh kar bhejun to samjhun us se milne ka

bahana hath aaya hai

sitara bhi nahin koi ki jis se guftugu Thahre

nawah-e-jism mein phaili KHizar-asar tanhai meri sansen baDhati hai

mujhe is daldali goshe se jaane ka koi rasta nahin milta

san ai meri KHizar-asar tanhai

meri KHatir bhi thoDa sa taraddud kar

mujhe bhi to 'sikandar' ke janaze mein pahunchna hai

mujhe bhi aab-e-haiwan se chhalakti maut ka nauha sunana hai

mujhe bhi dur jaana hai

san ai meri KHizar-asar tanhai

mujhe is tuKHm-e-imkan ke dariche se nikalne de

numu ki chaal chalne de

mujhe rasta nahin milta

(1524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Rasta Nahin Milta In English By Famous Poet Abbas Tabish. Mujhe Rasta Nahin Milta is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Mujhe Rasta Nahin Milta for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Mujhe Rasta Nahin Milta in PDF.