Use Maine Nahin Dekha

wo kaisi hai

use main ne nahin dekha

suna hai wo zamin-zadi

dhanak se apne KHwabon ke ufuq gul-rang rakhti hai

mere KHashak se aage kisi manzar mein rahti hai

hawa ke ghar mein rahti hai

wo kis suraj ka hissa hai

wo kis tare ki miTTi hai

use main ne nahin dekha

meri aankhon se le kar us ki aankhon tak kise malum hai

kitne sitare hain

mujhe kya ilm wo kis rang ke kapDe pahanti hai

wo KHali bartanon mein apna din kaise biTati hai

wo KHushiyan DhunDti hai aur KHud ko band almari mein rakh kar

bhul jati hai

wo ghar ke lawn mein baiThi bahut kuchh sochti hogi

ki mera rang kaisa hai

meri aankhon ke raushan qumqumon mein tab kitni hai

meri shiryan mein sahme hue bachchon pe kya guzri

wo kis raste pe chal nikle ki apne ghar nahin pahunche

wo akasr sochti hogi

mere kamre mein buDhi fahisha tanhai ke hote

mere din kaise kaTte hain

meri be-KHwab raaten kin KHayalon mein guzarti hain

kahan ishq-e-gurezan ki kahani KHatm hoti hai

wo ghar ke lawn mein baiThi yahi kuchh sochti hogi

ki mere nam ke pichhe meri taswir kaisi hai

mere KHat bhi nahin us ke tasarruf mein

ki un ko khol kar mere badan ke raaz tak pahunche

mujhe us ne nahin dekha

na main ne us ko dekha hai

na us ne mujh ko dekha hai

magar apni mohabbat mein ajab husn-e-tawazun hai

wo akasr sochti hogi

main kitna apne daftar mein hun kitna ghar ki KHalwat mein

wo mujh ko mujh pe hi taqsim kar ke dekhti hogi

mujhe mahsus hota hai

koi dil chirti KHushbu mujhe aawaz deti hai

magar aawaz ke pichhe koi chehra nahin hota

wo mujh ko dekh leti hai

magar meri basarat mein mahak chehra nahin pati

ki KHushbu kis ne dekhi hai

sada ko kis ne pakDa hai

makani duriyan kaisi? zamani qurbaten kaisi?

wo mera jism hai lekin use main ne nahin dekha

(1538) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use Maine Nahin Dekha In English By Famous Poet Abbas Tabish. Use Maine Nahin Dekha is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Use Maine Nahin Dekha for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Use Maine Nahin Dekha in PDF.