Paron Mein Sham Dhalti Hai

kahan jaana tha mujh ko

kis nagar ki KHak baalon mein sajaana thi

mujhe kin Tahniyon se dhup chunna thi

kahan KHema lagana tha

meri miTTi rah-e-sayyargan ki ham-qadam nikli

meri palkon pe tare jhilmilate hain

badan mein aag jalti hai

magar panw mein KHun-asham raste laDkhaDate hain

ye kya shiraaza-bandi hai

ye meri be-pari kis kunj se ho kar baham nikli

nazar mein din nikalta hai

paron mein sham Dhalti hai

magar main to lahu ki munjamid sil hun

badan ki kisht-e-viran mein

ye kis ki ungliyon ne umr bhar mujh ko kureda hai

kahan shiryan mein chalta hua ye qafila Thahra

ki main us hath ki rekhaon mein rang-e-hina Thahra

kahan jaana tha mujh ko

kis jagah KHema lagana tha

(1406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paron Mein Sham Dhalti Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Paron Mein Sham Dhalti Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Paron Mein Sham Dhalti Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Paron Mein Sham Dhalti Hai in PDF.