Aaj Phir Shab Ka Hawala Teri Jaanib Thahre

aaj phir shab ka hawala teri jaanib Thahre

chand mazmun bane sharh-e-kawakib Thahre

dad-o-tahsin ki boli nahin tafhim ka naqd

shart kuchh to mere bikne ki munasib Thahre

nek guzre meri shab sidq-e-badan se tere

gham nahin rabta-e-subh jo kazib Thahre

muKHlisi bais-e-tazhik zehanat dushman

ye mahasin to mere haq mein maaib Thahre

main hun KHud se mutaqabil mutabaadil mutazad

ruh Thahre mera unwan kabhi qalib Thahre

baT hi dil ke juda hon to bhala kaun aaKHir

kis ka ham-wazn ba-mizan-e-matalib Thahre

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Phir Shab Ka Hawala Teri Jaanib Thahre In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Aaj Phir Shab Ka Hawala Teri Jaanib Thahre is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Aaj Phir Shab Ka Hawala Teri Jaanib Thahre for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Aaj Phir Shab Ka Hawala Teri Jaanib Thahre in PDF.