Abas Hai Raaz Ko Pane Ki Justuju Kya Hai

abas hai raaz ko pane ki justuju kya hai

ye chaak-e-dil hai use hajat-e-rafu kya hai

ye aaine hain ki ham-chehra lashkaron ki safen

ye aks aks koi surat-e-adu kya hai

mushabahat ke ye dhoke mumasalat ke fareb

mera tazad liye mujh sa hu-ba-hu kya hai

main ek halqa-e-be-samt apne markaz par

ye shash-jahat hain kaise ye chaar-su kya hai

ye lahm o KHun ke kinae ye zehn ke uslub

mere wajud ka pairaya-e-numu kya hai

ye aasman se rag-e-jaan tak ek sargoshi

sukut-e-shab ka ye andaz-e-guftugu kya hai

ye rahguzar-e-nafas tangnae-mayusi

magar ye wusat-e-daman-e-arzu kya hai

hisar-e-jism o tilism-e-qaba aziz magar

nikal bhi aao meri jaan kabhu kabhu kya hai

KHayal kya hai jo alfaz tak na pahunche 'saz'

jab aankh se hi na Tapka to phir lahu kya hai

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abas Hai Raaz Ko Pane Ki Justuju Kya Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Abas Hai Raaz Ko Pane Ki Justuju Kya Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Abas Hai Raaz Ko Pane Ki Justuju Kya Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Abas Hai Raaz Ko Pane Ki Justuju Kya Hai in PDF.