Azdawaji Zindagi Bhi Aur Tijarat Bhi Adab Bhi

azdawaji zindagi bhi aur tijarat bhi adab bhi

kitna kar-amad hai sab kuchh aur kaisa be-sabab bhi

jis ke ek ek harf-e-shirin ka asar hai zahr-agin

kya hikayat likh gae mere labon par us ke lab bhi

umr bhar tar-e-nafas ek hijr hi ka silsila hai

wo na mil pae agar to aur agar mil jae tab bhi

log achchhe zindagi pyari hai duniya KHubsurat

aah kaisi KHush-kalami kar rahi hai ruh-e-shab bhi

lafz par mafhum us lamhe kuchh aisa multafit hai

jaise az-KHud ho inayat bosa-e-lab be-talab bhi

na-tawan kam-zarf isyan kar-e-jahil aur kya kya

pyar se mujh ko bulata hai wo mera KHush-laqab bhi

hum bhi hain pabandi-e-izhaar se bezar lekin

kuchh saliqa to suKHan ka ho hunar ka koi Dhab bhi

nam nisbat milkiyyat kuchh bhi nahin baqi agarche

'saz' us kuche mein mera ghar hua karta hai ab bhi

(1172) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azdawaji Zindagi Bhi Aur Tijarat Bhi Adab Bhi In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Azdawaji Zindagi Bhi Aur Tijarat Bhi Adab Bhi is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Azdawaji Zindagi Bhi Aur Tijarat Bhi Adab Bhi for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Azdawaji Zindagi Bhi Aur Tijarat Bhi Adab Bhi in PDF.