Baatin Se Sadaf Ke Dur-e-nayab Khulenge

baatin se sadaf ke dur-e-nayab khulenge

lekin ye manazir bhi tah-e-ab khulenge

diwar nahin parda-e-fan band-e-qaba hai

ek jumbish-e-angusht ki mahtab khulenge

kuchh nok-palak aur tahayyur ki sanwar jae

har jumbish-e-mizhgan mein nae bab khulenge

aaina-dar-aina khulega chaman-e-aks

tabir ke dar KHwab pas-e-KHwab khulenge

ho jaenge jab gharq sadaon ke safine

sunte hain KHamoshi ke ye girdab khulenge

kya un se samaat bhi guzar paegi ai 'saz'

wo dar jo tah-e-jumbish-e-mizrab khulenge

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baatin Se Sadaf Ke Dur-e-nayab Khulenge In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Baatin Se Sadaf Ke Dur-e-nayab Khulenge is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Baatin Se Sadaf Ke Dur-e-nayab Khulenge for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Baatin Se Sadaf Ke Dur-e-nayab Khulenge in PDF.