Bad-sohbaton Ko ChhoD Sharifon Ke Sath Ghum

bad-sohbaton ko chhoD sharifon ke sath ghum

pi KHush-numa glass se achchhe labon ko chum

lahje ko shoKH chehre ko taza banae rakh

tahsin ki saba ho ki tazhik ki sumum

mai-KHana-e-mafad ke mai-kash hain hosh-mand

mauqa se le le jam tawazun ke sath jhum

burj-e-amal mein chance ke suraj ki kar giraft

saDken hain zaicha tera ye qumqume nujum

Thahra to phir uDaengi KHamoshiyan mazaq

stage se utar jo mache taliyon ki dhum

han gulshan-e-talab ki inhen bulbulen samajh

viran-kade mein jism ke ye KHwahishon ke bum

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bad-sohbaton Ko ChhoD Sharifon Ke Sath Ghum In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Bad-sohbaton Ko ChhoD Sharifon Ke Sath Ghum is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Bad-sohbaton Ko ChhoD Sharifon Ke Sath Ghum for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Bad-sohbaton Ko ChhoD Sharifon Ke Sath Ghum in PDF.